Search Apni SMS & Shayari

Showing posts with label Love SMS. Show all posts
Showing posts with label Love SMS. Show all posts

Chaahe laakh sitam zamaan kare….


Chaahat ke dariya meinkoi kismat vaala hi dhoobta hai
Paar vo hi hota hai jo har mushkil ka saamna kare
Ae pyar karne vaalo peechey na hatna kabhi
Chaahe laakh sitam zamaan kare….

Apni dua mein maang liya karo…

KabhiKabhi hamein bhi yaad kar liya karo
hamari tasveer bhi dekh ke choom liya karo
maana ke tumhe kisi cheez ki kami nahin hai
par hamein bhi kabhi apni dua mein maang liya karo…

Dil kehta hai ....

Aanjane Woh pass Mere jab aati hai,
Dil ki dhardkan bard jati hai.
Jane! kaise log mohabbat karte hain,
Dil kehta hai hoti hai ho jati hai...

Loving you so much...


Hum iss qadar tumpe mar mittege
Tum jahan dekhoge hum hi tumhe dikhege
Rakhna har pal iss dil mein hamari yaad
Hamare baad hamare pyar ki daastaan duniya vaale likhege..

Dil se tera Khayal na jaaye to main kya karoon??
Tu hi bata tu yaad bahot aaye to main kya karoo?
Hasrat ye hain ke ek nazar dekhloon tuzhko…
Magar Qismat wo lamha na laaye to main Kya karoo???

Aashiq hai tere sadiyo se hum….
itni mohabbat kisne ki hai sanam….
hadd se ziyada chaaha hai tumko humne….
maange tu jaan vi toh piche hatege na kabhi mere kadam….!!!!

Meri deewangi ki koi hadd nahin
teri soorat ke siva kuch yaad nahin
mein hu phool tere gulshan ka
tere siva mujh pe kisi ka haq nahin..

Teri aashiqui mein har had se guzar jayege
tu jitna bhulegi utna tujhe yaad aayege
dekh lena meri maut ke baad ae jaan-e-mann
tu bulayegi hum kabar chodke aayege..

Aye khat ja unke haathon ko chum le
Jab voh padhe to unke hothon ko chum le
Khuda na kare voh phade bhi dale
To girte girte unke kadmo ko chumle..

Iss ajab daur mein aashiq bhi ajeeb hote hai
ek din dost dusre din rakeeb hote hai
iss liye toh mene mohabbat nahin ki hai
mohabbat mein toh sirf dukh naseeb hote hai..

Jab se dekha hai teri aankhon mein jhank kar
koi bhi aaina acha nahin lagta
teri mohabbat mein aise hue hai deewane
tumhe koi aur dekhe toh acha nahin lagta..

Mera Dil.... Ab tumhara hai..........

Mere alfazon ko jhuth na samjhna,
yaad aati ho bahut milne ki dua karna,
jee raha hoon tumhara naam lekar,
mar jau to bewafa na samajhna.

Kaise kahe ki apna bana lo mujhe,
Bahon me apni sama lo mujhe,
Bin tumhare ek pal bhi katta nahi,
Tum aa kar mujhi se chura lo mujhe..

Har raat 1 dhun gungunati hai,
har phool se mehak zarur ati hai,
apke man me beshak hamara khayal tak na ho,
par hame to har waqt aapki yaad aati hai…

Majboor mohabbat jata na sake,
Zakhm khate rahe kisi ko bata na sake..
Chahato ki had tak chaaha use.
Sirf apna Dil nikaal kar use dikha na sake..

Aur Ek Yaad Aate Rehna…

Ban Ke Sitara Jag-Magaate Rehna
Har Khushi Apne Hontho Pe Sajate Rehna
Kisi Rishte Ke Liye Do Kadam Jaroori Hote Hain
Ek Yaad Karte Rehna Aur Ek Yaad Aate Rehna…

Badi Muskil Se Koi Apna Bana....

Chup Rehte Hain Ki Koi Khata Na Ho Jaye
Humse Koi Ruswa Na Ho Jaye
Badi Muskil Se Koi Apna Bana Hai
Milne Se Pehle Hi Koi Juda Na Ho Jaye…

Apna Bana Lete Hain…

Hum Se Bachkar Rehna
Hum Phool Se Khushbu Chura Lete Hai
Dil Se Gham Nikalva Lete Hain
Samne Wale Ko Pata Bhi Nahi Chalta
Aur Hum Use Apna Bana Lete Hain…

Kahi main shayar na ban.....

Darta hun kahin main pagal na ban jaaaun,
Teekhi nazar aur sunahre roop ka kayal na ban Jaaun,
Ab bas bhi kar zalim kuch to raham kha mujhe per,
Kuch der to oojhal ho jaya karo nazro se,
warna kahin main shayar na ban jaaun.

Dard Be-Panah hota hai....

Yakin har rishte ki buniyaad hota hain ,
Toot jaaye agar to judna mushkil hota hain.
Kehna aasan hain humain yakin nahi hain tumpe,
Lekin dard is cheez ka be-panah hota hain.

Teri Raho Main...

Jalaate hai hum apne dil ko diye ki tarah..
Teri Zindagi main khushiyon ki roshni lane ke liye.
Seh jate hai har chubhan ko apne pairon tale..
Teri Rahon main phool bhichane ke liye.

New Serious(General) Shayari

Bhoolne wale se koyi keh de zara,
Is tarah yaad aane se kya fayeda,
Jab mere dil ki duniya basti nahi,
Phir khyalon main aaane se kya fayeda,
Aasra de ke dil tor te hain mera,
Is tarah sataane se kya fayeda,
Mujh pe bijli girao to jaanu sahi,
Aashiane par girane se kya fayeda
 
Hasti aaankhain, hastaaa chehra
Ek mujboor bahana hai
Chaand me such mouch, noor kahan hai
Chaand to ek viraana hai
Mujhko tanha chor ne waale
Tu na tanha rah jaye
Jis pe tujh ko naaz hai itna
Uska naaam zamana hai
 
Na jee bhar ke dekhaa na kuch baat ki,
badi aarzoo thi mulaqaat ki,
Kaye saal se kuch Khabar hi nahin,
kahaan din guzaaraa kahaan raat di,
Main chup tha tou chalti hawa ruk gayi,
zubaan sab samajhte hain jazbaat ki,
Sitaaron ko shaayad khabar hi nahin,
musaafir ne jaane kahaan raat ki...
 
Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi,
kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi,
Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya,
lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi,
Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se,
gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi,
Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se,
kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi.....
 
Aisa lagta hai zindagi tum ho
Ajnabee, kaise ajnabee tum ho?
Main zameen par ghana andhera hoon
Aasmaanon ki chaandini tum ho
Ab koi aarzoo nahin baakee
joostjoo meree aakhree tum ho
Doston-se wafa ki ummeeden!
Kis zamaane ke aadmee tum ho?

My Beautiful Collection ... New

Mere Dil Main Koi Aawaz Ubhar Aati hai
Tere Hi Baal Bikhar Jaata Hain Diwaron Pe
Teri Hi Shakal Kitabon Main Nazar Aati Hai
 
Humne kitni koshish ki unhe manane ki,
Na Jaana Kaha se seekh li unhone
Yeh Ada Zidd par utar jaane ki.
 
Ashq Mile To Pee Lete Hain
Aap Kahe To Mar Jayen Hum
Aap Kahe To Jee Lete Hain
Hum To Hain Un Phoolon Jaise
Jo Kaaton Main Bhi Jee Lete Hain
 
Ruth gya hai mujhko manane waala
Ab koi nahi naaz mera uthaane wala
Per jaane kya sonchta hai
Yeh khula darwaaza
Shayad rasta bhool gaya, aaane waaala
 
Yaaron mar bhi gaya to,
Aarti meri dafnaa dena
Utha kar janaza mera,
Unki gali ghuma dena
Agar wo mera pata puche to
Shamshaan ghaat bata dena
 
Aaj ujaali ki kiran kho gayi
zindagi veraan se ho gayi,
gaye woh din
jab humne unse umeed rakha
Aaj yeh khoob ho gaya
ki humain mohabbat se nafrat ho gayi
 
Koyi dost hai na koi rakeeb hai
Tera shaher kitna ajeeb hai
Yahan kiska chehra pada karoon
Yahan kaun itna qareeb hai
Main kis se kahoon mere saath chal
Yahan sab kay sar par saleeb hai
 
Daastaan-e-gham-e-dil unko sunaii na gayi
baat bigdii kuchh aisii ki banaii na gayi
Sab ko ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin
ek teri yaad thi aisi ki bhulaai na gayi
Ishq par kuchh na chalaa dida-e-tar ka jaadoo
usne jo aag lagaa di woh bujhaai na gayi
 
Is hasrat se mila kya mujhko
Ik jhalak mere dildaar ki
Is muhabbat se mila kya mujhko
Bechaini-o-beqarari yaar ki,
Is ashiqui se mila kya mujhko
Ik sunahari raah ishq ki,
Aur tere pyaar se mila kya mujhko
Ik raah jeene ki hamvaar si.

Kab Tak Khud Ko Rok Payegi...

Kab tak khud ko rok payegi,
Bina mere tu na rah payegi,
Main bas jaunga teri yaado main is kadar
Ki tu doosro ko yaad karna bhi bhool jayegi
labon ki hasi tere nam kar denge
har khushi tujh par qurban kar denge
jis din hogi kami meri dosti me
zindagi ko maut ke naam kar denge

Ye duniya bahut zalim hai,
tum iss duniya se reham ki ummeed mat kiya karo,
Ye duniya bahut zalim hai,
tum iss duniya se reham ki ummeed mat kiya karo,
Phoolon se nazuk tumhara ye dil hai,
tum iss dil ki hifazat kiya karo.

Nazron mein ashkon ko chhupaya nahi jata
dilke har jazbaat ko dikhaya nahi jaata
yeh dil ki batein hai, ek dil samajhta hai
paigaamein jigar lafzon mein bataya nahi jata

tum na jao kahiin
bas ek nazar dekh lene ki ijazat de do
kuch waqt guzar lene do apne kadmo me
ek zindagi jeene ki ijazat de do

kaash aisa ho ke tumko tumse chura loon
waqt ko ruk kar waqt se ek din chura loon
tum paas ho to is raat se ek raat chura loon
tum saath ho to yeh jahaan chura loon

Hear Touching Shayari .....

Sir chhupakar tere duppatte mein
khusbuon ne thakaan utaari hai
aisi bheeni mehak hain teri baaton mein
jaise taaza gulon ki kyaari hai

usne door rehne ka mashwara bhi likha hai
sath hi MUHABBAT ka wasta bhi likha hai
usne ye bhi likha hai mere ghar na ana
or saaf lafzo me rasta bhi likha hai

Kuchh To Baat Hai Jo Tum Bata Nahi Sakte
Jise Chahkar Bhi Tum Chhupa Nahi Sakte
Ye Aankhein Hai Tumhare Dil Ka Aaina
Isme Samarkar Bhi Tum Badal Nahi Sakte

Hey !!! I miss u ....

tum samne ho yeh gumah rehta hai chhoo nahi sakte to kya huya
tumhaare saath waqt beetaney ka bahaana to hota hai
ankhon me sapne ki tarhan samet ke rakha hai tumhe
bhula nahi sakte tumhe yeh baat rom rom kehta hai

Duriyon ki parwah na kiya kijiye,
dil jab bhi pukare bula liya kijiye,
hum jyada dur nahi apse bus apni ankhon Ko palko se mila liya kijiye.

Tumhari ek mulakat ne...

tumhari ek mulaqat ne dil ko chhoo liya
bina kuchh jaane hi dil tumhara ho liya
nahi maaloom kya tha uss mulaqaat mein
jo agar na mile tum to tumhe sapne mein bula liya

Shayri ....... Love from HEART


Zindagi jaise ek sazaa si ho gayi hai,
gham ke sagar mein kuch is kadar kho gayi hai,
tum aajao waapis yeh guzaarish hai meri,
shayad mujhe tumhaari aadat si ho gayi hai .

Dosti to sirf eak etphak hai,
ye to dilo ki mulaqat hai
dosti nahi dekhti ke ye din he ki raat hai,
aise mein to sirf wafadari aur jazbaat hai.

Matlabi hein yeh duniya yahan kaun kiska hota hai,
Dhokha bhi wahi deta hain jis pe bharosa hota hai.

Har shaam kah jaati hai ek kahani ,
har subah le aati hai ek nahi kahani ,
raaste to badalte hai harrdin lekin ,
manzil raha jati hai wahi puraani .

Aandhi aati hain tufaaan chale jaate hain.
Yaadein rah jaati hain insaan chale jaate hain.

Maayusiyon ki dhool se har naksh hai dhundhala tera.
Maine kabhi Ae zindagi dekha nahin chehra tera.
Tu bhi kabhi mehsoos kar kya hai bikharne ki tadap.
Ek roz bazi yun saje sheesha tera pathar mera.

Zindagi se wafa hamne bhi ki hai bahot
par gamon ke siva aur kuch mila bhi to nahi
ek tujhko paakar bahut khush tha main
par saath tera manzil tak mila bhi to nahi.

Lehar aati hai kinare se palat jati hai
yaad aati hai dil mein bas jati hai
dono mein farak itna hi hai lehar bevaqt aati hai
aur yaad har vaqt aati hai

mohabbat koi phool nahi jo pal bhar me rooth jaye
dosti koi kachcha dhaga nahi jo khichne se toot jaye.

Dua karo her janam mein hum tumse mila kare;
dost na sahi dushman hi hua kare.

Tujhe dekhe bina teri tasweer bana sakta hoon,
tujhse mile bina tera haal bata sakta hoon,
hai meri dosti mein itna dum,
apni aankh ka aansoo teri aankh se gira sakta hoon.

khoye-khoye se rahte ho khayal kiska hai,
ye to bata do intezar kiska hai,
humein bhula do par ye naa bhoolo ki,
nai sadak par purana makaan kiska hai.

Aye dost teri dosti us ghadi tadpaaegi,
Jab zindagi kahegi alvida,Aur maut bhi na aayegi.

Dosti ki tadap ko dikhlaya nahi jaata,
Dil main lagi aag ko bujhaya nahi jaata,
Chahe kitni bhi doori ho dosti main,
Aap jaise dost ko bhulaya nahi jaata.

ZINDAGII ROZ NAYE RANG MEIN DHAL JAATI HAI ,
KABHII DUSHMAN TO KABHI DOST NAZAR AATII HAI,
KABHII CHAA JAYE,BARAS JAYE,GHATA BEIMAUSAM ,
KABHII EK BOOND KO BHII ROOH TARAS JAATII HAI ... »

Hey ! Please Try To Read ...


Meri mohbhat meri khata ban gai,
yeh dewangi meri saza ban gai,
unki masumiyat pr fida hue is tarha,
k unhe pane ki tamanna hi zindgi ki saza ban gai...

try 2 REAd my EYess.............

Search The Web