Tanhayee me jab beete lamho ki yaad aati hai
kya kahe jism se jaan chali jaati hai
yu to unki berukhi yaad hai hume par
aakhe band kare to surat unki nazar aati hai
------------------------------------------------
Dil tuta hai hamara, khuda ki marzi hogi
Dil diya tha hamne unhe apna samaj kar
tod diya unhone ise ek sapna samaj kar
Is tute huay dil ko ab ham sambhale kahan se
ki hum to pehle hi bedakhal ho chuke hai jahan se
------------------------------------------------
har tarannum mein mili hai teri aavaaz mujhe
ek hi naghma sunata hai har ek saaz mujhe
ishq ka bhi koi anjaam hua kartaa hai
ishq mein yaad hai aaghaaz hi aaghaaz mujhe
jaise viraane se takra ke palat ti hai sada
dil ke har goshe se aai teri aavaaz mujhe
jo kisi ko bhi na chahe use chahna
umr bhar apni mohabbat pe raha naaz mujhe
------------------------------------------------
mausam ko isharon se bula kyun nahin lete
rutha hai agar vo to mana kyun nahin lete
deewana tumhara koi ghair nahin hai
machla bhi to sine se laga kyun nahin lete
khat likh ke kabhi aur kabhi khat ko jalakar
tanhai ko rangeen bana kyuun nahin lete
tum jaag rahe ho mujhko achchha nahin lagta
chupke se meri neend chura kyun nahin lete
------------------------------------------------
vo behisaab jo pi ke kal sharab aaya
agarche mast tha main par mujhe hijaab aaya
idhar khayaal mere dil mein zulf ka guzra
udhar vo khata hua dil mein pech-o-taab aaya
khayaal kiska samaya hai dida-o-dil mein
na din ko chain mujhe aur na shab ko Khwaab aaya
------------------------------------------------
aa bhi jao ki zindagi kam hai
tum nahin ho to har khushi kam hai
vada kar ke ye kaun aaya nahin
shehar mein aaj roshni kam hai
jaane kya ho gaya hai mausam ko
dhoop zyada hai chaandni kam hai
aaina dekh kar khayaal aaya
aaj kal un ki dosti kam hai
tere dam se hi main mukammal hun
bin tere meri zindagi kam hai