Search Apni SMS & Shayari

Showing posts with label Love Poems. Show all posts
Showing posts with label Love Poems. Show all posts

Chaahe laakh sitam zamaan kare….


Chaahat ke dariya meinkoi kismat vaala hi dhoobta hai
Paar vo hi hota hai jo har mushkil ka saamna kare
Ae pyar karne vaalo peechey na hatna kabhi
Chaahe laakh sitam zamaan kare….

Apni dua mein maang liya karo…

KabhiKabhi hamein bhi yaad kar liya karo
hamari tasveer bhi dekh ke choom liya karo
maana ke tumhe kisi cheez ki kami nahin hai
par hamein bhi kabhi apni dua mein maang liya karo…

Dil kehta hai ....

Aanjane Woh pass Mere jab aati hai,
Dil ki dhardkan bard jati hai.
Jane! kaise log mohabbat karte hain,
Dil kehta hai hoti hai ho jati hai...

Loving you so much...


Hum iss qadar tumpe mar mittege
Tum jahan dekhoge hum hi tumhe dikhege
Rakhna har pal iss dil mein hamari yaad
Hamare baad hamare pyar ki daastaan duniya vaale likhege..

Dil se tera Khayal na jaaye to main kya karoon??
Tu hi bata tu yaad bahot aaye to main kya karoo?
Hasrat ye hain ke ek nazar dekhloon tuzhko…
Magar Qismat wo lamha na laaye to main Kya karoo???

Aashiq hai tere sadiyo se hum….
itni mohabbat kisne ki hai sanam….
hadd se ziyada chaaha hai tumko humne….
maange tu jaan vi toh piche hatege na kabhi mere kadam….!!!!

Meri deewangi ki koi hadd nahin
teri soorat ke siva kuch yaad nahin
mein hu phool tere gulshan ka
tere siva mujh pe kisi ka haq nahin..

Teri aashiqui mein har had se guzar jayege
tu jitna bhulegi utna tujhe yaad aayege
dekh lena meri maut ke baad ae jaan-e-mann
tu bulayegi hum kabar chodke aayege..

Aye khat ja unke haathon ko chum le
Jab voh padhe to unke hothon ko chum le
Khuda na kare voh phade bhi dale
To girte girte unke kadmo ko chumle..

Iss ajab daur mein aashiq bhi ajeeb hote hai
ek din dost dusre din rakeeb hote hai
iss liye toh mene mohabbat nahin ki hai
mohabbat mein toh sirf dukh naseeb hote hai..

Jab se dekha hai teri aankhon mein jhank kar
koi bhi aaina acha nahin lagta
teri mohabbat mein aise hue hai deewane
tumhe koi aur dekhe toh acha nahin lagta..

Mera Dil.... Ab tumhara hai..........

Mere alfazon ko jhuth na samjhna,
yaad aati ho bahut milne ki dua karna,
jee raha hoon tumhara naam lekar,
mar jau to bewafa na samajhna.

Kaise kahe ki apna bana lo mujhe,
Bahon me apni sama lo mujhe,
Bin tumhare ek pal bhi katta nahi,
Tum aa kar mujhi se chura lo mujhe..

Har raat 1 dhun gungunati hai,
har phool se mehak zarur ati hai,
apke man me beshak hamara khayal tak na ho,
par hame to har waqt aapki yaad aati hai…

Majboor mohabbat jata na sake,
Zakhm khate rahe kisi ko bata na sake..
Chahato ki had tak chaaha use.
Sirf apna Dil nikaal kar use dikha na sake..

Aur Ek Yaad Aate Rehna…

Ban Ke Sitara Jag-Magaate Rehna
Har Khushi Apne Hontho Pe Sajate Rehna
Kisi Rishte Ke Liye Do Kadam Jaroori Hote Hain
Ek Yaad Karte Rehna Aur Ek Yaad Aate Rehna…

Badi Muskil Se Koi Apna Bana....

Chup Rehte Hain Ki Koi Khata Na Ho Jaye
Humse Koi Ruswa Na Ho Jaye
Badi Muskil Se Koi Apna Bana Hai
Milne Se Pehle Hi Koi Juda Na Ho Jaye…

Jaane Ye Kaisa Mod ...

Os Ki Boonde Hain Ya Aankho Mein Nami Hai
Na Upar Aasmaan Hai Na Niche Zameen Hai
Jaane Ye Kaisa Mod Hai Zindagi Ka
Apki Zarurat Hai, Aur Apki Hi Kami Hai…

Apna Bana Lete Hain…

Hum Se Bachkar Rehna
Hum Phool Se Khushbu Chura Lete Hai
Dil Se Gham Nikalva Lete Hain
Samne Wale Ko Pata Bhi Nahi Chalta
Aur Hum Use Apna Bana Lete Hain…

Kahi main shayar na ban.....

Darta hun kahin main pagal na ban jaaaun,
Teekhi nazar aur sunahre roop ka kayal na ban Jaaun,
Ab bas bhi kar zalim kuch to raham kha mujhe per,
Kuch der to oojhal ho jaya karo nazro se,
warna kahin main shayar na ban jaaun.

Dard Be-Panah hota hai....

Yakin har rishte ki buniyaad hota hain ,
Toot jaaye agar to judna mushkil hota hain.
Kehna aasan hain humain yakin nahi hain tumpe,
Lekin dard is cheez ka be-panah hota hain.

Teri Raho Main...

Jalaate hai hum apne dil ko diye ki tarah..
Teri Zindagi main khushiyon ki roshni lane ke liye.
Seh jate hai har chubhan ko apne pairon tale..
Teri Rahon main phool bhichane ke liye.

New Serious(General) Shayari

Bhoolne wale se koyi keh de zara,
Is tarah yaad aane se kya fayeda,
Jab mere dil ki duniya basti nahi,
Phir khyalon main aaane se kya fayeda,
Aasra de ke dil tor te hain mera,
Is tarah sataane se kya fayeda,
Mujh pe bijli girao to jaanu sahi,
Aashiane par girane se kya fayeda
 
Hasti aaankhain, hastaaa chehra
Ek mujboor bahana hai
Chaand me such mouch, noor kahan hai
Chaand to ek viraana hai
Mujhko tanha chor ne waale
Tu na tanha rah jaye
Jis pe tujh ko naaz hai itna
Uska naaam zamana hai
 
Na jee bhar ke dekhaa na kuch baat ki,
badi aarzoo thi mulaqaat ki,
Kaye saal se kuch Khabar hi nahin,
kahaan din guzaaraa kahaan raat di,
Main chup tha tou chalti hawa ruk gayi,
zubaan sab samajhte hain jazbaat ki,
Sitaaron ko shaayad khabar hi nahin,
musaafir ne jaane kahaan raat ki...
 
Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi,
kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi,
Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya,
lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi,
Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se,
gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi,
Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se,
kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi.....
 
Aisa lagta hai zindagi tum ho
Ajnabee, kaise ajnabee tum ho?
Main zameen par ghana andhera hoon
Aasmaanon ki chaandini tum ho
Ab koi aarzoo nahin baakee
joostjoo meree aakhree tum ho
Doston-se wafa ki ummeeden!
Kis zamaane ke aadmee tum ho?

Jo bhi is dil pe guzarti hai wo sab Janta hai ...

Jo bhi is dil pe guzarti hai wo sab janta hai
Koi jaane ke na jane mera Rab janta hai

Jaane kab usko faqiron pe taras aa jaye
Kuch milega ye mera daste talab janta hai

Hazaar bar usse tod ke aa jaun main rishta
Magar wo humko bulane ka hunar janta hai

Main usko bhool ke zinda rahunga kaise bhala
Wo meri sanson ki talab ki wajah janta hai

Mera hasna use achha nahi lagta shayad
Warna wo meri udasi ka sabab janta hai

Sakoon

Sakoon mujhe mila aakar teri bahon me
Manjil mujhe mili aakar teri rahon me
Main tanha tha zindgi ke kafile me
Mujhe pukara hai aaj tumhari sdaaon ne
Dhekha maine jab tumko
Bas dekhta hi reh gaya
Tera maasum chehra
Pani pe jaise chand ho thehra!
Ankho ka kajal raat ban beh gaya!
Doob gaye hum ke ubar nahi paye
Teri jheel si gehri nigaho me
Sakoon muje mila
Pta nahi tha is kadar
Ham bhi kahi kho jayenge
Zarra zarra ktra ktra
Is ishk me behte jayenge!
Kya kho denge or kya payenge!
pyar kya hai jana hamne
aakar teri pnaho me
Sakoon muje mila

Yeh Mulakat...

Chandni raat aur mere hatho me tumhara hath
Noor hi noor bikhra hai harsu kitni suhani hai ye raat

Sabse juda hokar hum teri dhadkano me sama gaye
Khud ko kho diya humne na jaane kaisi hui tumse mulaakaat

Tere haatho ki laqeero me dekha hai apna naseeb
Tere hi naam se shuru hokar tujh par aake khatam ho meri har ek baat

Payar ke safar ke hum do raahi chale hai ek duje ke sath
Dil ki duniya bhi basai hai humne deke dil ki saugaat

Falak par yu umad aaye baadal ban ke payar
Bheege hum bhi raat hui kuchh aisi barsaat

Tassavvur me rehti hai hardum ban ke hum khayal
apne chand se apne mahboob se meri ye mulaakaat

Nasha Hai Dil Main...

Muskaan hai hontho mein aur hai dil mein khushi
Jab se aap mile ho chhayi hai ek jadugari
Is dil mein ab nahi hai koi bhi kami
Aur aapki mehek se khilne lagi hai ye zami

Dil ko bha gaya hai ye mausam suhana
Dil toh hone laga hai ab aur bhi deewana
Dil na chahe ki aap karo aur koi bahana
Kyuki aapke bin dil ka nahi koi aur thikana

Nasha hai dil mein aur hai ek khumar
Dil toh bas hai aapse milne ko bekarar
Na jaane dil kaise kare aapse ye ikrar
Ki pyar hai is dil mein aapke liye beshumar

Phool nahi hai toh kya hua khushboo ki baatein toh hai
Saath nahi hai toh kya hua woh mulakaatein toh hai
Pyar nahi hai par woh chahat ki raatein toh hai
Aur woh nahi hai toh kya hua palko mein unki yaadein toh hai

Ek pyari si kali thi jo phool ban gayi
Ek nanhi si muskan thi jo hasi ban gayi
Ye choti choti si mulakat ab toh pyar ban gayi
Aur aapka har pal saath toh jaise bahar ban gayi

Din ki shuruvaat hoti hai aapki ek jhalak ke saath
Na jaane kab hai aap ka saath
Aap kahe toh hum aapka haanth thaam le
Na jaane kab hogi agli khushiyon ki barsaat

TU JO KAHE

तू जो कहे, तेरी दुनिया से तुझको चुरा ले आऊँ मैं
तेरी इजाजत हो, तो मुहब्बत की बगिया महकाऊँ मैं

मान सके तो मान ले कहना, दिल मैं है ख्वाहिश एक यही
तुझको बना लूं अपना दिलबर, और तेरा हो जाऊँ मैं

तेरा भरोसा, तेरा सहारा, प्यार जो तेरा मिल जाये
सबसे बड़ा किस्मत वाला, इस दुनिया में बन जाऊँ मैं

तेरी बातें - तेरी यादें, इसके सिवा कुछ काम नहीं
तुझसे वक़्त मिले यारा, तो दुनिया से बतियाऊँ मैं

नजर मिला के, शर्म मिटा के, जो दिल में है - कह दे तू
ऐसा न हो, दिल की ख्वाहिश, दिल में ही रखे रह जाऊँ मैं

पलकों की छाव मे

पलकों की छाव मे
नींद के गाव मे
रत भर हम
खाब खाब खेलते रहे

खाब कुछ अनकहे से थे
खाब कुछ अनसुने से थे
फुल्लो की तरह महके से खाब
रत भर महकते रहे

न जाने कहा से आये थे
न जाने कहा चले गए
फिर सब धुदला सा हो गया
हम जागते ,सोते रहे

Shayari...

jab tak in aakhon ko uska didar nahi hota
tab tak ye aakhein band nahi hogi
aur jab tak is dil ke pyar ka ikrar nahi hota
tab tak ye sanse band nahi hogi

Dil pe chalati ho Kainchi aur churiyaan
tailor se banwati ho kurte aur kurtiyaan
Kapde toh phir bhi see diye jaate hain
Dil ke ghaav khule hi reh jaate hain
Aake lagado apne pyaar ki Malham
Hum bhi Zinda ho lenge phir Sanam

Baharein aayi to pooche hai aapka pata
Sitarein chhayi to kya du main unko bata
Fizayein chhayi aur unhone bhi diya ye jata
Ki aapse pyar to hai dil ki sabse hasin khata

Hoontho se nikle alfaz toh bahaar ban jate hai
Palko se nikle nazar toh woh deedaar ban jate hai
Saanso mein base toh woh khumaar ban jate hai
Aur dil mein utar jaye toh woh pyaar ban jate hai

Kaliyon mein phool ki kuch baatein hoti hai
Khushi mein muskan ki kuch saugaatein hoti hai
Intazar mein gum ki kuch raatein hoti hai
Aur pyar mein chahat ki kuch mulakaatein hoti hai

mausam hai deewana jara dekh lo
hum hai tanha jara samajh lo
karte hai hum ijahar apni dosti ka
chaaho to hume kabul kar lo

dekhi jo surat aapki
ye dil bechara machal gaya
rakhna hifajat se apni adaa ko
adaa pe aapki ye dil ghayal ho gaya

Tasweer hai aapki itni saloni
machal na jaye ye dil mera deewani
lagti ho tum tasweer me itni pyari
rubaru jab dekhunga to ghayal kar dogi tum hume deewani

Search The Web