Search Apni SMS & Shayari

Showing posts with label Ghazal. Show all posts
Showing posts with label Ghazal. Show all posts

Koi Umneed bar nahi aati...

Koi ummeed bar nahin aati
Koi soorat nazar nahin aati


maut ka ek din muayyan hai
need kyon raat bhar nahin aati


aage aati thi hale dil pe hansi
ab kisi baat par nahin aati


janta hoon sababe-taato-zahad
par tabeeat idhar nahin aati


Hai kuchh aisi hi baat
jo chup hoon, varna kya baat kar nahin aati


kyon na cheehkoon ki yaad karte hain
meri awaaz gar nahin aati


marte hain aarzoo me marne ki
maut aati hai par nahin aati


kaba kis munh se jaoge Ghalib
sharm tumko magar nahin aati

Ghazals New Collection... 1

Badanaam mere pyaar kaa afsana hua hai
deewane bhi kahte hain ki deewana hua hai ........

Rishta tha tabhi tou kisi be-dard ne todaa
apnaa tha tabhi tou koi be-gaanaa hua hai ........

Baadal ki tarah aake baras jaaiye ik din
dil aap ke hote huye viraana hua hai ....

Bajte hain Khayaalon mein teri yaad ke ghunghroo
kuch din se mera ghar bhi pari-Khaanaa hua hai .....

Mausam ne banaya hai nigaahon ko sharaabi
jis phool ko dekhun wahi paimana hua hai ...
 
Apne haathon se yun chehre ko chhupaate kyon ho,
mujh se sharmaate ho tou saamne aate kyon ho,

Tum kabhi meri tarah kar bhi lo ikraar-e-vafa,
pyaar karte ho tou phir pyaar chupaate kyon ho,

Ashk aankhon mein meri dekh ke rote kyon ho,
dil bhar aataa hai tou phir dil ko dukhaate kyon ho,

In se vaabastaa hai jab mera muqaddar phir tum,
mere shaanon se ye zulf hatate kyon ho,

Roz mar mar ke mujhe jeene ko kahte kyon ho,
milne aate ho to phir laut ke jaate kyon ho ...
 
Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi

Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi

Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi

Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi

Kise majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi
 
Tu kahin bhi rahe sar pe tere ilzaam to hai
tere haathon ki lakiiron mein mera naam to hai .......

Mujhko tu apnaa bana ya na bana teri Khushi
tu zamaane mein mere naam se badnaam to hai .....

Mere hisse mein koi jaam na aayaa na sahi
teri mehfil mein mere naam koi shaam to hai ....

Dekh kar log mujhe naam tera lete hain
is pe main Khush hoon muhabbat ka ye anjaam to hai .....

Woh sitamagar hi sahi dekh ke usko "Pankaj"
shukr is dil-e-bimaar ko aaraam to hai ...
 
Bhoolne waale se koyi keh de zara
is tarah yaad aane se kya faaida,

Jab mere dil ki duniya basaati nahin
phir khayaalon mein aane se kya faaida

Kya kahoon aapse kitni umeeden thi
Aap kya badle duniya badal si gayi,

Aasra de ke dil tod te hain mera
Is tarah sataane se kya faaida,

Chaar tinke jala ke kya mil gaya
Mit sakana zamane se mera nishaan,

Mujhpe bijli girao to jaanu sahi
Aashiaan par girane se kya faaida
 
Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa
aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa.......

Pahale se maraasim na sahii phir bhi kabhi tou
rasm-o-rahe duniya hi nibhane ke liye aa....

Kis kis ko batayenge judaai ka sabab ham
tu mujhse khafaa hai tou zamaane ke liye aa .........

kuch tou mere pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko manaane ke liye aa.....

ek umr se hoon lazzat-e-giriyaa se bhi maharuum
aye raahat-e-jaan mujh ko rulaane ke liye aa...

ab tak dil-e-khushfeham ko tujh se hain ummiden
ye aakharii shammen bhi bujhaane ke liye aa
 
Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain...
Yeh haqeeqat to nigahon say bayan hoti hain

Woh na aaye tou satati hai khalish see dil ko...
Woh jo aaye to khalish aur jawan hoti hain

Rooh ko shaad karey dil ko jo purnoor karey...
Har nazaaray mein yeh tanveer kahan hoti hain

Sabt-e-sehlaabay mohabbat ko kahan tak rokay...
Dil mein jo baat ho aankho say ayaan hoti hain

Zindagi ek sulgati see chita hai `Pankaj'...
Shola banti hain na yeh bhuj kay dhuaan hoti hain

Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain
Yeh haqeeqat to nikhaon say bayan hoti hain

Ghazals New Collection...

Chaman ki bahaaron mein tha aashiyana
na jaane kahan kho gaya vo zamana

tumhen bhuulane ki main koshish karunga
ye vaada karo ke na tum yaad aana

mujhe mere mitne ka gam hai to ye hai
tumhen bevafaa kah raha hai zamana

Khudara meri qabr pe tum na aana
tumhen dekh kar shaq karega zamana
 
Bebasii jurm hai hauslaa jurm hai
zindagi teri ik-ik adaa jurm hai

aye sanam tere baare mein kuch sochkar
apne baare mein kuch sochna jurm hai

yaad rakhna tujhe mera ek jurm tha
bhool jana tujhe doosra jurm hai

kya sitam hai ke tere hasin shehar mein
har taraf gaur se dekhna jurm hai
 
Ishq ke phool bhi khilte hain, bikhar jaate hain
zakhm kaise bhi hon, kuch roze main bhar jaate hain

Us khwabon main ab koi nahi aur hum bhi nahi
Itne roze se aaye hain, chup chaap guzar jaate hain

Nurm aawaaz, bholi baatain, mohazzab lehjaa
Pehle baarish main hi, sab rang utar jaate hain

Raasta roke khari hai, wahi uljhan kab se
Koi puche to kahen kya ke kidhar jaate hain
 
Rait par likh ke mera naam mitaya na karo
aankhen sach bolti hain, pyaar chupaya na karo

log har baat ka afsana bana lete hain
sab ko haalaat ki rudaad sunaya na karo

ye zaroori nahin har shakhs masiha hi ho
pyaar ke zakhm amaanat hain dikhaya na karo

shahar-e-ehsaas mein pattharaav bahut hain "Pankaj"
dil ko shiishe ke jharonkhon mein sajaaya na karo
 
Aye mohabbat tere anjaam pe rona aaya,
Jaane kyun aaj tere naam pe rona aaya..

Yun to har shaam ummeedon me guzar jaati thi,
Aaj kuch baat hai, jo shaam pe rona aaya..

Kabhi taqdir ka maatam, kabhi duniya ka gila,
Manzil-e-ishq me har gaam pe rona aaya...

Jab hua zikr zamaane me mohabbat ka
Mujhko apne dil-e-bekaam pe rona aaya.....
 
Dost ban ban ke mile mujhko mitaane vaale
mai ne dekhe hain kai rang badalane vaale ........

Tumne chup rahkar sitam aur bhi dhaayaa mujh par
tumse acche hain mere haal pe hansne vaale...

Mai tou ikhlaaq ke haathon hi bikaa kartaa hoon
aur honge tere baazaar mein bikne vaale ......

Aakhrii daur pe salaam-e-dil-e-muztar le lo
phir naa lautenge shab-e-hijr pe ronevaale ...
 
Kuchh na kisi se bolenge
tanhaaii mein ro lenge

hum be-rahabaron ka kyaa
saath kisi ke ho lenge

Khud to hue rusvaa lekin
tera bhaid na kholenge

jeevan zahar bharaa saagar
kab tak amrit gholenge

neend to kya aaegii 'Pankaj'
maut aai to so lenge

Jo bhi is dil pe guzarti hai wo sab Janta hai ...

Jo bhi is dil pe guzarti hai wo sab janta hai
Koi jaane ke na jane mera Rab janta hai

Jaane kab usko faqiron pe taras aa jaye
Kuch milega ye mera daste talab janta hai

Hazaar bar usse tod ke aa jaun main rishta
Magar wo humko bulane ka hunar janta hai

Main usko bhool ke zinda rahunga kaise bhala
Wo meri sanson ki talab ki wajah janta hai

Mera hasna use achha nahi lagta shayad
Warna wo meri udasi ka sabab janta hai

Sakoon

Sakoon mujhe mila aakar teri bahon me
Manjil mujhe mili aakar teri rahon me
Main tanha tha zindgi ke kafile me
Mujhe pukara hai aaj tumhari sdaaon ne
Dhekha maine jab tumko
Bas dekhta hi reh gaya
Tera maasum chehra
Pani pe jaise chand ho thehra!
Ankho ka kajal raat ban beh gaya!
Doob gaye hum ke ubar nahi paye
Teri jheel si gehri nigaho me
Sakoon muje mila
Pta nahi tha is kadar
Ham bhi kahi kho jayenge
Zarra zarra ktra ktra
Is ishk me behte jayenge!
Kya kho denge or kya payenge!
pyar kya hai jana hamne
aakar teri pnaho me
Sakoon muje mila

Yeh Mulakat...

Chandni raat aur mere hatho me tumhara hath
Noor hi noor bikhra hai harsu kitni suhani hai ye raat

Sabse juda hokar hum teri dhadkano me sama gaye
Khud ko kho diya humne na jaane kaisi hui tumse mulaakaat

Tere haatho ki laqeero me dekha hai apna naseeb
Tere hi naam se shuru hokar tujh par aake khatam ho meri har ek baat

Payar ke safar ke hum do raahi chale hai ek duje ke sath
Dil ki duniya bhi basai hai humne deke dil ki saugaat

Falak par yu umad aaye baadal ban ke payar
Bheege hum bhi raat hui kuchh aisi barsaat

Tassavvur me rehti hai hardum ban ke hum khayal
apne chand se apne mahboob se meri ye mulaakaat

Nasha Hai Dil Main...

Muskaan hai hontho mein aur hai dil mein khushi
Jab se aap mile ho chhayi hai ek jadugari
Is dil mein ab nahi hai koi bhi kami
Aur aapki mehek se khilne lagi hai ye zami

Dil ko bha gaya hai ye mausam suhana
Dil toh hone laga hai ab aur bhi deewana
Dil na chahe ki aap karo aur koi bahana
Kyuki aapke bin dil ka nahi koi aur thikana

Nasha hai dil mein aur hai ek khumar
Dil toh bas hai aapse milne ko bekarar
Na jaane dil kaise kare aapse ye ikrar
Ki pyar hai is dil mein aapke liye beshumar

Phool nahi hai toh kya hua khushboo ki baatein toh hai
Saath nahi hai toh kya hua woh mulakaatein toh hai
Pyar nahi hai par woh chahat ki raatein toh hai
Aur woh nahi hai toh kya hua palko mein unki yaadein toh hai

Ek pyari si kali thi jo phool ban gayi
Ek nanhi si muskan thi jo hasi ban gayi
Ye choti choti si mulakat ab toh pyar ban gayi
Aur aapka har pal saath toh jaise bahar ban gayi

Din ki shuruvaat hoti hai aapki ek jhalak ke saath
Na jaane kab hai aap ka saath
Aap kahe toh hum aapka haanth thaam le
Na jaane kab hogi agli khushiyon ki barsaat

TU JO KAHE

तू जो कहे, तेरी दुनिया से तुझको चुरा ले आऊँ मैं
तेरी इजाजत हो, तो मुहब्बत की बगिया महकाऊँ मैं

मान सके तो मान ले कहना, दिल मैं है ख्वाहिश एक यही
तुझको बना लूं अपना दिलबर, और तेरा हो जाऊँ मैं

तेरा भरोसा, तेरा सहारा, प्यार जो तेरा मिल जाये
सबसे बड़ा किस्मत वाला, इस दुनिया में बन जाऊँ मैं

तेरी बातें - तेरी यादें, इसके सिवा कुछ काम नहीं
तुझसे वक़्त मिले यारा, तो दुनिया से बतियाऊँ मैं

नजर मिला के, शर्म मिटा के, जो दिल में है - कह दे तू
ऐसा न हो, दिल की ख्वाहिश, दिल में ही रखे रह जाऊँ मैं

पलकों की छाव मे

पलकों की छाव मे
नींद के गाव मे
रत भर हम
खाब खाब खेलते रहे

खाब कुछ अनकहे से थे
खाब कुछ अनसुने से थे
फुल्लो की तरह महके से खाब
रत भर महकते रहे

न जाने कहा से आये थे
न जाने कहा चले गए
फिर सब धुदला सा हो गया
हम जागते ,सोते रहे

Shayari...

jab tak in aakhon ko uska didar nahi hota
tab tak ye aakhein band nahi hogi
aur jab tak is dil ke pyar ka ikrar nahi hota
tab tak ye sanse band nahi hogi

Dil pe chalati ho Kainchi aur churiyaan
tailor se banwati ho kurte aur kurtiyaan
Kapde toh phir bhi see diye jaate hain
Dil ke ghaav khule hi reh jaate hain
Aake lagado apne pyaar ki Malham
Hum bhi Zinda ho lenge phir Sanam

Baharein aayi to pooche hai aapka pata
Sitarein chhayi to kya du main unko bata
Fizayein chhayi aur unhone bhi diya ye jata
Ki aapse pyar to hai dil ki sabse hasin khata

Hoontho se nikle alfaz toh bahaar ban jate hai
Palko se nikle nazar toh woh deedaar ban jate hai
Saanso mein base toh woh khumaar ban jate hai
Aur dil mein utar jaye toh woh pyaar ban jate hai

Kaliyon mein phool ki kuch baatein hoti hai
Khushi mein muskan ki kuch saugaatein hoti hai
Intazar mein gum ki kuch raatein hoti hai
Aur pyar mein chahat ki kuch mulakaatein hoti hai

mausam hai deewana jara dekh lo
hum hai tanha jara samajh lo
karte hai hum ijahar apni dosti ka
chaaho to hume kabul kar lo

dekhi jo surat aapki
ye dil bechara machal gaya
rakhna hifajat se apni adaa ko
adaa pe aapki ye dil ghayal ho gaya

Tasweer hai aapki itni saloni
machal na jaye ye dil mera deewani
lagti ho tum tasweer me itni pyari
rubaru jab dekhunga to ghayal kar dogi tum hume deewani

Wo Anmol Pal...

Ye pal fir se laut ke na aayenge
Unke Khyaal toh hume har pal satayenge
Yaad bankar toh woh dil mein reh jayenge
Aur phool bankar woh dil ko mehkayenge

Apne Haathon Se Yun Chehra Chupaate Kyun Ho

Apne haathon se yun chehra chupaate kyun ho
mujhse sharmate ho to saamne aate kyun ho

tum kabhi meri tarah kar bhi lo iqraar e wafa
pyaar karte ho to phir pyaar chupaate kyun ho

ashk aankhon mein meri dekh ke rote kyun ho
dil bhar aata hai to phir dil ko dukhate kyun ho

unse wabasta hai jab mera muqaddar phir tum
mere shanon se ye zulf apni hatate kyun ho

roz mar-mar ke mujhe jeene ko kehte kyun ho
milne aate ho to laut ke jaate kyun ho!

Milan Ke Zamaane Aaye...

Phool kile to lage tere milan ke zamane aaye
Dil dhadake to tere aane ka paigaam laaye

Nazare uthau to tere hi nazare aaye
Kore kagz par jab bhi likhu to tera naam aaye

Tere mere afsaano se bhari hum ye kitaab laaye
Aati jaati sanso ke sang tera hi khayale aaye

Pehalu me aau tere to ye khoobsurat bahaare aaye
Chandni raat me leharo par chand ke afsaane aaye

Baharo ko dekho ye sundar nagme sunane aaye
Tere aane se surkh gulo par bhi rangat aaye

Jab bhi tere hotho pe Sara-e-tariffe aaye
Rukhsaar par mere sharm-o-haya ke chiman dhal jaaye

Ek noor aashiyane me aayii aur har aaine muskuraaye
Tere aane se meri jindagi me maahataab aur aaftaab aaye

Kaise Karoon...

Tum ho aaye phool banke
aur meri zindgi mehka gaye
Kaho tumhara shukria kaise ada karoon
Meri is viran si duniya me
roshni hi roshni jala gaye
Ab jab ban gaye ho jaan tum
to kaho saanson ko kaise khud se juda karoon

Dekh Kar Tumko To...

dekh kar tum ko ek arsaa ho gaya
lagta hai jaise kain barso beet gaya

aate ho roj tum mere khwabo mein
hakikat mein laut aao phir se meri zindagi mein

kya kasoor tha mera, ek baar to batla do
maut ke pehle shayad tasalli mil jaye is dil ko

bewafaa nahi hai hum, aaj bhi yahi kehte hai
yakin nahi hai tumhe, par tumhare liye yeh jaan bhi de sakte hai

Aisa Kabhi Na Karna....

Tum Rooth Jao Mujhse
Aisa Kabhi Na Karna
Main Ek Nazar Ko Tarsoon
Aisa Kabhi Na Karna
Main Pooch Pooch Haroon
So So Sawal Kar Ke
Tum Kuch Jawab Na Do
Aisa Kabhi Na Karna
Mujhse Hi Mil Ke Hansna
Mujhse Hi Mil Ke Rona
Mujhse Bichhad Ke Jee Lo
Aisa Kabhi Na Karna
Tum Chand Ban Ke Rehna
Main Dekhta Rahunga
Kisi Roz Tum Na Niklo
Aisa Kabhi Na Karna
Tum Chale Jao Jab Bhi
Toh dekhu Tumhara Rasta
Tum Lout Ke Na Aao
Aisa Kabhi Na Karna

Teri Yaad...

Bohat hi yaad aata hai mere Dil ko tadpaata hai
Woh tera paas na hona bohat mujh ko rulaata hai

Woh mera teri aankhon ke samandar mein uttar jaana
Aur teri muskurahat ke bhanwar mein doobte jaana

Teri awaaz ke saher se na nikal paana
Tujh ko dekhna aur be-khudi se dekhte jaana

Bohat chaha in guzre hue lamhon ko na sochoon
Na teri yaad mein reh ke tere saath ka sochoon

Bhoola doon saari yaadon ko ke jin se Dil tadpta hai
Ke jin se taish uthti hai ke jin se dard hota hai

Magar jab raat aati hai to teri yaad aati hai
Tere hi khuwaab hote hain teri hi baat hoti hai

Tujhe paaya ab mumkin nahi tujh ko bhoola dena
Teri yaad mein rehna tujhe hi sochte rehna

Tujhe jab yaad karte hain to Dil apna tadpta hai
Woh tera paas na hona bohat mehsoos hota hai

Apni Marzi Se...

Apni Marzi se kahan apne Safar ke Hum hain
Rukh Hawaaon ka jidhar hai, udhar ke Hum hain

Pehle har Cheez thi apni magar ab lagta hain
Apne hi ghar me kisi Dusre Ghar ke Hum hain

Waqt ke saath hai Mitti ka Safar Sadiyon tak
Kisko Maloom kahan ke hain, kidhar ke Hum hain

Chalate rehte hain ke chalna hai Musaafir ka Naseeb
Sochte rehte hain ke kis Rah-Guzar ke Hum hain

Gintiyon me hi gine jate hain har Daur me Hum
Her Qalam-kaar ki Benaam khabar ke Hum hain

Aaj Aisa Karte Hai...

Guftgu Ke Lamhon Mein
Dekh Hi Nahi Paate
Ham Tumhare Chehre Ko
Tum Hamari Aankhon Ko
Aaj Aisa Karte Hain
Chasm-o-lab Ko Padte Hain
Baat Chhod Dete Hain

Jaane Kya Lamha Hoga
Jab Ye Hath Hathon Se
Gar Kabhi Juda Hoga
Aaj Aisa Karte Hain
Zabt-e-Jaan Parakhte Hain
Hath Chhod Dete Hain

Kash Koi Samjhade
Log Kis Tarah Dil Ki
Manzilein Alag Kar Ke
Saath Chhod Dete Hain
Aaj Aisa Karte Hain
Bey-sabab Bikharte Hain
Zaat Tod Dete Hain

mera zikar na karna...

dukh dard ke maro se mera zikar na karna
ghar jao to Yaro se mera zikar na karna

wo zabt na kar paen gay Ankho ke samandar
tum gum guzaro se mera zikar na karna

pholon k Nasheman Mein raha hoon sada se
dekho kabhi gairon se mera zikar na karna

shahyad ye andehre hi mujhe rah dikhaye
ab chaand sitaro se mera zikar na karna

wo meri kahani ko galat rang na de de
afsana nigaro se mera zikar na karna

shayad wo mere haal pe be-sakhta ro de
is bar baharo se mera zikar na karna

le jayenge gehrai me tum ko bhi baha kar
darya ke kinaro se mera zikar na karna

wo shakhs mile to usse har baat batana
tum sirf isharo se mera zikar na karna

Search The Web