Search Apni SMS & Shayari

Showing posts with label Serious Shayari. Show all posts
Showing posts with label Serious Shayari. Show all posts

Dil kehta hai ....

Aanjane Woh pass Mere jab aati hai,
Dil ki dhardkan bard jati hai.
Jane! kaise log mohabbat karte hain,
Dil kehta hai hoti hai ho jati hai...

Loving you so much...


Hum iss qadar tumpe mar mittege
Tum jahan dekhoge hum hi tumhe dikhege
Rakhna har pal iss dil mein hamari yaad
Hamare baad hamare pyar ki daastaan duniya vaale likhege..

Dil se tera Khayal na jaaye to main kya karoon??
Tu hi bata tu yaad bahot aaye to main kya karoo?
Hasrat ye hain ke ek nazar dekhloon tuzhko…
Magar Qismat wo lamha na laaye to main Kya karoo???

Aashiq hai tere sadiyo se hum….
itni mohabbat kisne ki hai sanam….
hadd se ziyada chaaha hai tumko humne….
maange tu jaan vi toh piche hatege na kabhi mere kadam….!!!!

Meri deewangi ki koi hadd nahin
teri soorat ke siva kuch yaad nahin
mein hu phool tere gulshan ka
tere siva mujh pe kisi ka haq nahin..

Teri aashiqui mein har had se guzar jayege
tu jitna bhulegi utna tujhe yaad aayege
dekh lena meri maut ke baad ae jaan-e-mann
tu bulayegi hum kabar chodke aayege..

Aye khat ja unke haathon ko chum le
Jab voh padhe to unke hothon ko chum le
Khuda na kare voh phade bhi dale
To girte girte unke kadmo ko chumle..

Iss ajab daur mein aashiq bhi ajeeb hote hai
ek din dost dusre din rakeeb hote hai
iss liye toh mene mohabbat nahin ki hai
mohabbat mein toh sirf dukh naseeb hote hai..

Jab se dekha hai teri aankhon mein jhank kar
koi bhi aaina acha nahin lagta
teri mohabbat mein aise hue hai deewane
tumhe koi aur dekhe toh acha nahin lagta..

Mera Dil.... Ab tumhara hai..........

Mere alfazon ko jhuth na samjhna,
yaad aati ho bahut milne ki dua karna,
jee raha hoon tumhara naam lekar,
mar jau to bewafa na samajhna.

Kaise kahe ki apna bana lo mujhe,
Bahon me apni sama lo mujhe,
Bin tumhare ek pal bhi katta nahi,
Tum aa kar mujhi se chura lo mujhe..

Har raat 1 dhun gungunati hai,
har phool se mehak zarur ati hai,
apke man me beshak hamara khayal tak na ho,
par hame to har waqt aapki yaad aati hai…

Majboor mohabbat jata na sake,
Zakhm khate rahe kisi ko bata na sake..
Chahato ki had tak chaaha use.
Sirf apna Dil nikaal kar use dikha na sake..

Kahi main shayar na ban.....

Darta hun kahin main pagal na ban jaaaun,
Teekhi nazar aur sunahre roop ka kayal na ban Jaaun,
Ab bas bhi kar zalim kuch to raham kha mujhe per,
Kuch der to oojhal ho jaya karo nazro se,
warna kahin main shayar na ban jaaun.

Dard Be-Panah hota hai....

Yakin har rishte ki buniyaad hota hain ,
Toot jaaye agar to judna mushkil hota hain.
Kehna aasan hain humain yakin nahi hain tumpe,
Lekin dard is cheez ka be-panah hota hain.

Teri Raho Main...

Jalaate hai hum apne dil ko diye ki tarah..
Teri Zindagi main khushiyon ki roshni lane ke liye.
Seh jate hai har chubhan ko apne pairon tale..
Teri Rahon main phool bhichane ke liye.

Shayari... New Collection

Baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi to na thi
le gaya cheen ke kaun aaj tera sabr-o-qarar
be-qaraari tujhe ae dil kabhi aisi to na thi
 
Suraj ko diya dikhane se kya fayeda,
laash ko aag lagane se kya fayeda,
Aye shahjahaan, mumtaz to jaa chuki
Ab laash pe taj banane se kya fayeda
 
Mere rooh ki haqeeqat
Merey aansoo se pucho
Mere keh kahon ki duniya
Mere tar juman nahin hai
 
Tum mujhe bhool kar to dekho
Har khushi routh jayegi
Jab akele tum baithogi
Khud-ba-khud meri yaad aayegi
 
Baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi to na thi
le gaya cheen ke kaun aaj tera sabr-o-qarar
be-qaraari tujhe ae dil kabhi aisi to na thi
 
Raat itni haseen thi
Ke saare so rahe the
Hum hi aise badnaseeb the
Jo aap ki yaad main ro rahe the
 
Ishq ke lamhe sharaab lagte hain
Kuch chehre mehtaab lagte hain
Dukh itne sahe mohabbat main guzre hue
Ke har lamhe hi azaab lagte hain
 
Kaate nahi kat te hain lamhe intezaar ke
Nazarein jama ke baithe hain raste pe yaar ke 
Dil ne kaha dekhein jo jalwe husn-e-yaar ke
Layaa hai koun inko, phalak se utaar ke
 
Aur bhi cheezain bohot si lutt chukin hain dil kay saath
Yeh batayaa doston ne ishq furmane kay baad
Ab kamray ki ek ek cheez check karta hoon main
Ek tere aane se pehley, ek tere jaane kay baad
 
Gar hota woh saqi apni aankhon ke jaam ka
Gar milta na saqi sharab-e-haraam ka
Kiya ittefaaqat ne mujh ko barbaad wagarna
Naam apna bhi hota aala muqaam ka
 
Hum Jaise Barbaad Dilo Ka
Jeena Kya Aur Marna Kya
Aaj Teri Mehfil Se Uthe Hai
Kal Duniya Se Uth Jaayenge
 
Raat bhar neend hi naa aaye to ,
Ashq aankhon main chhal chhalaaye to,
Kyaa hua hai bataaiye kaise,
Yaad koi bahot hi aaye to
 
Tumne Bhi Rangoli Sajayi Hogi
Matwaali Diwaali Manayi Hogi
Bujha Hua Chirag Dekhkar
Humari Yaad to Aayi Hogi
 
Gul mohar ki kataar jaisi ho,
Wadiyon main bahaar jaisi ho,
Paayalo.n ki chum chum chum si,
Chand meri yaar , kaisi ho?
 
Khoob aati hai jab bhi aati hai,
Yaad teri bahot sataati hai,
Dhoop main,chaanw main, ghataao.n mai.n,
Teri soorat ubhar ke aati hai
 
Chehre pe haseen chaa jati hai
Aankhon main suroor aaa jata hai
Jab tum mujhe apna kahte ho
Apne pe ghuroor aa jata hai
 
Wada to ker lete hain
Nibhana bhool jate hain
Lagaaa kar aaag seene main
Bujhana bhool jate hain
 
Mera Ikraar Tere Inkaar Se Behatar Hoga
Mera Din Bhi Teri Raat Se Behatar Hoga
Yakeen Nahin To Dolee Se Jhankke Dekhna
Mera Janazaa Teri Baaraat Se Behatar Hoga
 
Mere Honton ke mehaktay hue naghmo par na ja
Mere seenay main kaye aur bhi ghum paltay hain
Mere chehray par dikhaway ka tabassum hai magar
Meri aankhon main udaasi kay diye jalte hain
 
Rukta bhi nahi, theek se chalta bhi nahi
Yeh dil hai kay tere baad sambhalta hi nahi
Is umar key sehra say teri yaad ka baadal
Talta bhi nahi aur barasta bhi nahi
 
Waqt Ke Saath Badal Jaaye
Use Pyaar Nahi Kehte
Musibat Se Jo Darr Jaaye
Use Yaar Nahi Kehte
 
Baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi to na thi
le gaya cheen ke kaun aaj tera sabr-o-qarar
be-qaraari tujhe ae dil kabhi aisi to na thi
 
Zindagi Ki Raahon Mein Aise Mod Bhi Aate Hain
Saawan Ke Saath-Saath Yehan Patjad Bhi Aate Hain
Aasuwon Ke Saagar Mein Moti Bhi Milthe Hain
Jo Unhe Doond lete hain, Wahi Zindagi Jee Lete Hain.
 
Tujhko dekhenge to sitare bhi Zia maangen ge
Pyaase teri zulfon se ghataa maange ge
Apne maathe se yun aanchal ko na sarkaa dena
Varna buddhe bhi jawaani ki dua maange ge
 
Falak Ke Teer Ka Kya Nishana Tha
Idhar Mera Ghar, Udhar Uska Aaashiyana Tha
Puhunch Rahi Thi Kinare Pe Kashti-E-Umeed
Usi Waqt Is Tofaan Ko Bhi Yahaan Aana Tha
 
Har Ek Baat Pe Kahte Ho Tum Ki Tu Kya Hai
Tumhi Kaho Ki Yeh Andaz-E-Guftagu Kya Hai
Ragon Main Daurte Phirne Ke Hum Nahin Qayal
Jab Aankh Se Hi Na Tapka To Phir Lahoo Kya Hai
 
Apni Aakhon Ke Samunder Main Utar Jaane De
Tera Mujrim Hoon, Mujhe Doub Ke Mar Jaane De
Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko
Sonchta Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De
 
Yeh Bhi Aadab Hamare Hain, Tumhain Kya Malum
Hum Tumhain Jeet Ke Harey Hain, Tumhain Kya Malum
Ek Tum Ho Ke Samajhte Nahi Hum Ko Apna
Ek Hum Hain Ke Tumhare Hain, Tumhain Kya Maalum
 
Jab Paas Ho To Rukh Se, Nigahain Na Morna
Jab Dour Ho To Mera, Tasavvur Na Chorna
Aye Dost!!! Dil Lagane Se Pehle Ye Sonch Le
Mushkil Bahut Hai, Rishton Ki Zanjeerain hain Torna
 
Dekha Jidhar Yeh Payaa, Aalam Hijaab Ka
Jaali Ko Naam De Diya, Humne Niqaaab Ka
Dukh Ki Tabash Hai, Dharkanain Tanhaiyan Bhi Hain
Yeh Zindagi Hai Jaise, Din Ho Hisaab Ka
 
Woh To Khushbu Hai, Hawaon Main Bikhar Jayega
Masla Phool Ka Hai, Phool Kidhar Jayega
Hum To Samjhe The Ke ik Zakham Hai Bhar Jayega
Kya Khabar Thi Ke Rug-E-Jaan Main Utar Jayega
 
Jab Se Hua Hai Woh Khwab Ki Tarah
Zindagi Guzar Rahi Hai Azaab Ki Tarah
Khushbu Ke Kalam Se Shayad Likha Tha Usne Khut
Har Lafz Mahak Raha Hai Gulab Ki Tarah
 
Hui hum se ye nadani,
Kay teri mehfil mein aa baithe
Ho kay zameen ki khakh
Aasman se dil laga baithe
 
Dil si cheez hai, dene ko hai de day
Magar koi qabeel bhi to ho
Hum to jaan de kay bhi khush hain
Magar koi qateel bhi to ho
 
Khudaa jab husn deta hai
nazaakat aaa hi jati hai
Kadam chun chun kar rakhti ho
kamar balkha hi jaati hai
 
Aansoon ko aankhon ki dehleez par laya na karo
Apne dil ki haalat kisi ko bataaya na karo
Log muth-thi bhar namak liye ghooma karte hain
Apne Zakham kisi ko dikhaaya na karo
 
Mohbbat karna koi zulm nahi,
Agar ki jaye usool se,
Khuda ko bhi muhabbat thi,
Apne rasoul se
 
Chaand raaat ko sabhi dekhain, hilaal-e-eid ko      
Ik hamara hi naseeba hadiyan turva gaay              
Hum the chaand ke nazaare main khoye hue
Bus achanak chand ka abba wahan pe aa gaya
 
Dil Ko Manana Gar Hota Aaasaaan
Na Karta Kisi Ko Yoon Ye Pareshaan
Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Main
Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Bayaan
 
Sookh Jaate Hain Lub, Lufz Milte Nahi
Hota Nahi Humse Ishq Bayaan
Unhe Kaise Bataoon Dil Ki Lagi
Kaise Sikhaoon Aankhon Ki Zubaan
 
Apne Aagaaz Se Aaaj tak Zindagi
Teri Hi Yaad Main Gum Rahi
Phir Bhi Jaane Kyon Yeh Ihsaas Hai
Jaise Chaahat Meri Kam Rahi
 
Ek Musafir Ne Raat Pichlay Pahar
Apne Mehboob Ke Na Aane Par
Kar Diya Taj Mahal Ke Tukre
Aab-E-Jamuna Main Phaik Kar Pathar
 
Kal Mila Waqt To Zufain Teri Suljha Doonga
Aaaj Uljha Hoon Zara Waqt Ke Sulajhne Main
Yoon To Sulajh Jatee hain Uljhee Zulfain
Umar Kat Jati Hai Waqt Ke Sulajhne Main
 
Faasle Jism Ko To Dour Le Jaate Hain
Par Dilon Ke Shahar To Ujarte Nahi
Aankhon Se Aankhon Ka Rishta Tut Jaye Bhi To
Saath Dekhe Hue Khwab To Mit Te nahi
 
Toot Jaate Hain Sabhi Rishte Magar
Dil Se Dil Ka Raabta Apni Jagah
Dil Ko Hai Tujh Se Na Milne Ka Yaqeen
Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah
 
Mast Nazron se dekh lenaa tha
Agar tamanna thi aazmane ki
Hum to behust youn hi ho jaate
Kya zaroorat thi muskurane ki
 
Chehrey Per Banawat Ka Gussa,
Aankhon Say Chalakta Pyar Bhi Hai,
Is Shauq-E-Ada Ko Kya Kahiye
Inkar Bhi Hai Iqraar Bhi Hai.

My Beautiful Collection ... New

Mere Dil Main Koi Aawaz Ubhar Aati hai
Tere Hi Baal Bikhar Jaata Hain Diwaron Pe
Teri Hi Shakal Kitabon Main Nazar Aati Hai
 
Humne kitni koshish ki unhe manane ki,
Na Jaana Kaha se seekh li unhone
Yeh Ada Zidd par utar jaane ki.
 
Ashq Mile To Pee Lete Hain
Aap Kahe To Mar Jayen Hum
Aap Kahe To Jee Lete Hain
Hum To Hain Un Phoolon Jaise
Jo Kaaton Main Bhi Jee Lete Hain
 
Ruth gya hai mujhko manane waala
Ab koi nahi naaz mera uthaane wala
Per jaane kya sonchta hai
Yeh khula darwaaza
Shayad rasta bhool gaya, aaane waaala
 
Yaaron mar bhi gaya to,
Aarti meri dafnaa dena
Utha kar janaza mera,
Unki gali ghuma dena
Agar wo mera pata puche to
Shamshaan ghaat bata dena
 
Aaj ujaali ki kiran kho gayi
zindagi veraan se ho gayi,
gaye woh din
jab humne unse umeed rakha
Aaj yeh khoob ho gaya
ki humain mohabbat se nafrat ho gayi
 
Koyi dost hai na koi rakeeb hai
Tera shaher kitna ajeeb hai
Yahan kiska chehra pada karoon
Yahan kaun itna qareeb hai
Main kis se kahoon mere saath chal
Yahan sab kay sar par saleeb hai
 
Daastaan-e-gham-e-dil unko sunaii na gayi
baat bigdii kuchh aisii ki banaii na gayi
Sab ko ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin
ek teri yaad thi aisi ki bhulaai na gayi
Ishq par kuchh na chalaa dida-e-tar ka jaadoo
usne jo aag lagaa di woh bujhaai na gayi
 
Is hasrat se mila kya mujhko
Ik jhalak mere dildaar ki
Is muhabbat se mila kya mujhko
Bechaini-o-beqarari yaar ki,
Is ashiqui se mila kya mujhko
Ik sunahari raah ishq ki,
Aur tere pyaar se mila kya mujhko
Ik raah jeene ki hamvaar si.

Kyun Dil Udas Hai...

Sab kuch to tere pass hai
To phir kyun dil udass hai?

Hai pyar bhi tere liye
Khayal bhi tere liye

Yeh dil bhi tere pass hai
To phir kyun dil udass hai?

Main sochta hoon bas tujhe
Main dekhta hoon bas tujhe

Jab mujh pe aitbaar hai
To phir kyun dil udass hai?

Hum Apni Mohhabbat ko Kabhi Ruswa na Karte...

Jo Rishtey Dil se jurte hain inhe toda nahi karte
Kisi ka saath Raste me kabhi chhoda nahi karte,

Kahin is se tumhare haath hi zakhm na ho jayein
Jo Toote aaina toh phir ise joda nahi karte,

Koi Toofan Teri Kishti ko Garq-e-Aab na karde
Kabhi Bikhri huyi Mojon ka Rookh moda nahi karte

Tijarat ke usulon par Mohabbat ki nahi jati
Mohabbat me kabhi Jazbaat ka Souda nahi karte

Sitam karna Mohabbat par, yeh hai Aadat zamane ki
Zamane ke sitam par Hum yeh Dil toda nahi karte

Mohabbat ke usulon me, yehi pehla usool apna
Ke Hum apni Mohabbat ko kabhi Ruswa nahi karte

Jis se Mohabbat karte ho us se Jhoot na bolo
Mohabbat me kabi Khayanat kiya nahi karte

Kitni Bechain hai yeh Sanse Meri...

Kitni bechain hai yeh sanse meri,
bina tere bohat roti hain yeh aankhein meri,

Kab se meri aankho ko neend aati hi nahi
bahein mangti hai mujh se ratein teri,

Jaan aajao ke ab dil kahi lagta hi nahi
tum ko bula rahi hai yeh bahein meri,

Kitni bechain hai ye sanse meri,
bina tere bohat roti hain ye aankhein meri.

Meri Tanhaiyan...

Meri tanhaiyo ko ab ek mehmaan chaahiye
Mujhko saaya nahin ek insaan chaahiye

Baaton mein khulte hein aksar puraane zakham
Koi kam-sukhan koi bey-zubaan chaahiye

Andheriya hein zindagi mein door talak bahot
Mujhko ujaalon ka caarwaan chaahiye

Mujhko na raas aayega tera zareen qafas
Hum parindon ko khulaa aasmaan chaahiye.

Batao Mujhe Kitna Pyar Karte ho...

Uss ney ek bar mujh se poocha
ke batao mujhe kitna yaad kartey ho?

Maine kaha Bahot Zyada
Usne dubara sawal kiya

Ke phir bhi batao toh sahi aakhir kitna
Maine kaha Bahot Bahot Zyada

Mere jawab sunn kar
Woh zara-labb muskurai aur kaha

Aab mujhse bhi toh poocho na
Aur jab maine poocha

Toh uski muskurahat gehri hoti chali gayie
aur halka sa gulabi rang

uske chehray pe aake guzar gaya
usne mujhe doobi hui nazron se dekha

aur phir palke jhuka ke boli
Pagal, yaad to unhe kiya jata hai
jinhe insaan bhool jaye

Lovable Shayari...

Kabhi sochte hai ek GULAB bhej de
Kabhi chahte hai pura BAAG bhej de
Jaa Rahe ho agar Aap sone ko to Dil karta hai
Apki PALKO mein ek PYARA SA KHWAAB bhej de

Phool Khil Kar UDAS Hai
Samandar Ko Aaj Pani Ki Pyas Hai
Ek Bar Aap Muskura Do
Kyunki KHUDA Ko Duniya Ki
Sabse KHUBSURAT Hasi Ki Talash Hai

Lovable Shayari...


Thak gaye hum unka intezar karte karte
Roye hazar bar khud se takrar karte karte
Do lafz unki zaban se na nikle aur
Toot gaye hum ek tarfa pyaar karte karte

Mithi mithi yaado ko palko mein saja lena
Saath gujre palo ko dil mein basa lena
Najar na aye hum haqiqat mein agar
to muskurake hame sapno mein bula lena

Main Rizaq Banta tha...

Safar toh main ne kiya tha warna sazo saman us ke the
Main toh bus raazdaar tha us ka warna toh sare raaz us ke the

Woh dariya mein pyasi baithee thi jab ke samandar tamaam us ke the
Woh dhoop mein baithee hai chaon dene ko jab ke darakht sare saya daar us ke the

Aur yun toh bazahir logon maine rizaq bantaa tha lekin dar parda sare hath us ke the
Aurr maine kamaal bulandi par ja ke socha zaheer yeh toh sarey kamaal us ke the

Jee chahta hai...

Jee chahta hai kisi roz tujhe sajau
Tum baithi raho main tumhe dekhata jau

Main tumhari palko ko choom kar
Tumhari aankho mein doob jau

Tere mathe par jo paseena hai
Zara tum mujhe dena, Main Rooh-E-gulab banau

Tere kapkapte hoto ko ungali se chhoo lu
Hotho ki baat fir tumhe sunau

Yaaro ye to aqsh hai us shaqks ka
Abhi woh nahi to chand se jee behlau

Bhoolne Ki Adat Hai

Chalo Ishq nahi, Chaahne ki Adat hai
Kya karein ke Hamein Dusre ki Adat hai

Tu apne Sheesha-Gari ka na kar Hunar Zyada
Main Aaina hoon, Mujhe Tootne ki Adat hai

Wisal mein bhi wohi Faasle Sharab ke hain
Ke Usko Neend, Mujh ko Rat-Jagne ki Adat hai

Tera Naseeb hai Ae Dil Sada ki Mehroomi
Na Wo Saki hai, na Tujhe Maangne ki Adat hai

Ye Khud Aa Jati kab tak
Tu bhi usse na kar Yaad, Jise Bhoolne ki Adat hai

Ishq Jawan hai yaro...

HAR TARAF ZULM YAHAN HAI YARO
ADAT-O-INSAF KAHAN HAI YARO?

LAB PE LAYE NA HAL-E-DIL TOH KIA?
HAAL CHEHREY SEY AYAN HAI YARO

SHER KEHNA,GHAZAL SUNA DENA
YEH BHI ANDAZ-E-FUGHAN HAI YARO

KAR RAHA HUN KALAM SE ZULM PE WAR
JAB TALAK JISM MAIN JAAN HAI YARO

DHAL GAYI MERI JAWAANI TO KIA?
AAJ BHI ISHQ JAWAN HAI YARO

Bahut Alag ho Aap

ISS ZAMANE SE BAHUT ALAG HO AAP
WO KHUSHKISMAT HAI JISKE PAAS HO AAP
HAMARE LIYE TO WO LAMHA HI HASEEN HAI
JAB MUJHE YAAD KARKE DIL SE MUSHKURA LETE HO AAP

Search The Web