Haar kar khud ko
haar kar khud ko jeetne ki khwaahish hai
meri to bas ek mehboob ki farmaaish hai
jiske pyar mein khud ko kho bhi de hum
aise shaks ko paane ki aazmaaish hai
usko pakar jeeungi ke mar jaaungi
aise jazbon ki mere dil mein aamezish hai
ab anjaam jo bhi ho, sochna kaisa
dard bhi mile to usmein hi aasaaish hai
Pyar ke Jawab Mein
pyar ke jawab mein pyar mil jaye
swarg yahin iss dharti par ban jaye
samajh le jo dilbar khud hi dil ki baatein
sir uske samne har baat par khud hi jhuk jhuk jaye
magar milti hai kitabon mein bas ab to aisi baatein
fir bhi soch soch umeed ka diya jalta jaye
ek din hoga khwaab sach, woh din bhi aayega
ussi din ki chah mein har din raat nikalti jaye