6. aisa lagta hai zindagi tum ho
ajnabee kaise ajnabee tum ho
ab koi aarzoo nahin baakee
justjoo meri aakhri tum ho
main zameen par ghana andhera hoon
aasmaanoN ki chandni tum ho
dostoN se wafa ki ummeedeN
kis zamaane ke aadmi tum ho
7. maana ke musht-e-khak se badh kar nahin hoon maiN
lekin hawa ke rehmo-karam par nahiN hoon maiN
insaan hooN dhaDkte huye dil par haath rakh
yoon doob kar na dekh samandar nahiN hoon maiN
chehre pe mal raha hoon siyaahi naseeb ki
aaiynaa haath meiN hai sikandar nahiN hoon maiN
'ghalib' tere zameen meiN likhi to hai ghazal
tere kad-e-sukhan ke baraabar nahiN hoon maiN
8. dene vaale mujhe maujo ki ravaani dede
fir se ek baar muJhe meri jawaani dede
abR ho jaam ho saaki ho mere pehloo meiN
koi to shaam muJhe aisi suhaani dede
nasha aa jaye muJhe teri jawaani ki kasam
tu agar jaam meiN bhar ke muJhe paani dede
har jawaN dil mere afsaanoN ko dohraata rahe
hashR tak khatM na ho aisi kahaani dede
9. tumko hum dil me basa lenge, tum aao to sahi
saari duniya se chupa lenge tum aao to sahi
ek waada karo ab humse na bicHDoge kabhi
naaz hum saare utha lenge tum aao to sahi
bewafa bhee ho sitamgar bee jafa pesha bhee
hum khuda tumko bana lenge tum aao to sahi
raah taarikh hai aur door hai manzil lekin
dard ki shamme jala lenge tum aao to sahi
10. fir usi raah guzar kar shaayad
hum kabhi mil sakeN magar shaayad
jaan pehchaan se kya hoga
fir bhi ae dosth gaur kar shaayad
muntjir jinke hum rahe unko
mil gaye aur hum-safar shaayad
jo bhee bicHDe hain kab mile hain 'faraar'
fir bhee tu intezaar kar shaayad