Bhool Se Agar Koi Bhool Hui,
To Bhool Samajke Use Bhool Jana,
Arey Bhoolna Sirf Bhool Ko,
Bhoolkar Bhi Hume Na Bhool Jana.
Guzare Huye Kal Ki Yaad Aati Hai,
Kuch Lamho Se Aakhen Bhar Aati Hai,
Woh Rangeen Shaam Nirali Doob Jati Hai
Jab Aap Jaise Dost Ki Yaad Aati Hai.......
Barsaat aaye aur zamin gili na ho,
Dhoop nikle aur sarson pili na ho,
Aiye dost tune ye kaise soch liya,
Ke teri yaad aaye, aur tere mobile me mera sms na ho.
kadam kadam pe hawaon se talukh rakhna,
dosti ke daur pe dosti ka aasra rakhna,
hamari yaadon ki khushboo jarur aayegi,
aap bas apne dil ka darwaja khula rakhna.
Ik Din Baharon Ke Phool Murjha Jayenge,
Jab Bhoole Se Kabhi Hum Yaad Aayenge,
Ehsaas Hoga Tumhe Hamari Dosti Ka,
Jab Door Bahut Door Hum Tumse Chale Jayenge.
Jis Ney Zindagi Ko Udhaas Kar Diya Wo Bewafa Hain To Kya, Mat Kaho Bura Us Ko
Ke Jo Huwa So Huwa Khush Rakhe Khuda Us Ko
Mat Dekh Koi Shakhs Gunehgaar Hain Kitna
Yeh Dekh Tere Saath Wafadar Hain Kitna
Shikwa Karte Hain Zubaan Se Na Gila Karte Hain
Tum Salamat Raho Bas Yehi Dua Karte Hain
Zara Si Roshni Milti Chiragh-e-Dil Jala Lete
Nazar Ki Pyaas Bujh Jaati Ghari Bhar Muskura Lete
Judai Ka Pata Hota Tere Pyaar Se Pehle
Marne Ki Dua Karte Tere Deedar Se Pehle
Mohabbat Main Dil-e-Nadaan Sukoon Paya Nahin Karte
Jazbe Jin Ke Sadiq Houn Wo Ghabraya Nahin Karte
Kabhi Kisi Ko Mukammal Jahaan Nahin Milta
Kahi Zameen To Kahi AasmaaN Nahin Milta
Wo Kehte The Rone Se Nahin Badalte Naseeb
Un Ki Is Baat Ne Umar Bhar Rone Na Diya
TamaaM Raat Mere Ghar Ka Ek Dar Khulla Raha
Ham Rah Dekhte Rahe Wo Raasta Badal Gaya
MAGAR KYA?
"Hum haste hai to woh samjhte hai ke
humein aadat hai muskurane ke,
lekin woh nadan kya samjhe,
ke yeh bhi ek adaa hai gam chupaneki."
Kabhi humse bhi pucha karo,
ke humpe kya bitte hai,
kyo gamonko chupakar muskura karte hai,
kyo aasuonko rokkar hasa karte hai,
kaise man hi man roya karte hai,
KYU................................
Kyu aj bhi tumhara intazar karte hai.
Har baat ka matlab inkar nahi hota,
har jagah par baithane intezar nahi hota,
yu to milti hai hazaronse nazare,
har nazar ka milna PYAR nahi hota.
Dard e dil dekho kitna gam jhele hai,
mere masoom dil mai zakhmoke mele hai,
mehfil ki khwahish thi mujhe yaron,
dekho zindagi mei aaj hum kitne akele hai.
Chand ki raton me
sara jahan sota hai,
lekin kisi ki yaadon me
koi badnasib rota hai,
khuda kisi ko mohobbat pe
fida na kare,
agar kare to kisi ko juda na kare.
Jab bhi kisi ko karib paya hai
kasam khuda ki wahi dhokha khaya hai
kyo dosh dete ho kanto ko
ye zakham to humne phoole se paya hai.
Bada arman tha tere sang jeevan betaneka
shikwa he bas tere khamosh reh jane ka
dewangi isse badkar bhi kyao hogi
aaj bhi intezar he tere ane ka.
Mera ek inkar tere har inkar se achha hoga
mera ek din tere har raat se acha hoga
tu doli se jhak kar dekh lena zalim
mera janaza teri barat se acha hoga.
Kab khayal unka dil me nahi hota
kab dard dil se juda nahi hota
kuch to majburiya rahi hogi unki bhi
bhala yuhi kahi koi bewafa nahi hota.
Ruth kar tum mujhe bhulane lage
itne dur hue ke bahut yad ane lage
kaise bhuladu tumhe ek pal me
jab tumhe pane me mujhe jamane lage.
Hasroton ki nigahon pe sakht pehre hai
na jane kis umeed pe dil thehra hai
teri chahaton ki kasam ae dost
apni dosti ka rishta pyar se bahut gehra hai.
Dil ki baat labo par lakar
ab tak hum dukh sahte hai...
Humein aawara kehna koi bada ilzam nahi...
duniyawale dilwalon ko aur bahut kuch kehte hai...
bit gaya sawan ka mahina, mausam ne nazare badli...
lakin in pyasi aankhon se aasu behte hai...
dil ki baat labo per laakar.......
Jin ki dosti sachi hoti hai
woh kab fariyad karte hai
juba khamosh hoti hai
lakin dil se yad karte hai.
Is duniya me dost kam milenge
is duniya me gam hi gam milenge
jahan duniya nazar fer legi
Us mod pe dost tumhe
"HUM" Milenge................