Search Apni SMS & Shayari

Don't Mind.....

Zoron ki baarish Makes me wonder
Is this what they call, Taste the thunder?

mujh tak kab un kii bazm me.n aataa thaa daur-e-jaam
saaqii ne kuchh milaa na diyaa ho sharaab mein

baat karanii mujhe mushkil kabhii aisii to na thii
jaisii ab hai terii mahafil kabhii aisii to na thi

baaG kis kaam kaa jis me.n gulo.n ko shamshaad na ho
lutf detii nahii.n be-shiishaa-o-saaGar mahafil

khoobsoorat ho tum kisi phool ki tarah...
aankhein hain tumhari kisi hirni ki tarah...

chahek hai tum mein kisi chidiya ki...
mehek hai tum mein kisi gulaab ki...

mahafil se uTh jaane vaalo tum logo.n par kyaa ilzaam
tum aabaad gharo.n ke vasii mai.n aavaaraa au badanaam

Chandani Mohabbat Chand se hoti hai, setaron se nehi,
mohabbat ek se hoti hai hazaron se nehi

chadani chand se hogi to sitaron kya hoga,
mohabbat ek se hogi to hazaron ka kya hoga

Tumko dekha to yeh khayaal aaya
Ki kal raat ko maine itna kyon khaaya

Teri zulfein hain ya ghana andhera
Katwa de baal, aur kar de savera

Juice peene ka maza cup mein nahin, glass mein hota hai
Greeting card dene ka maza gharwali ko nahin, saali ko hota hai

Machal Machal kar arman mere khud hi dafan ho jate hai,
Jis dhage ki mai janib hun,Are, Vo dhage hi kafan ho jate hai!!!

Mita de apni Husti ko Agar doh Martba Chahe.....
Ke Dana Khak may Milkar Gul-e-gulzar hota hay.

Agar talaash karoon, koi mil hi jaaey gaa
Magar Tumhaari tarah kaun Mujh ko chaahey gaa

Ruka hua hai ajab Dhoop chhaa'on ka Mausum
guzar raha hai koi dil sey Baadalon ki tarah

" Uss" sey Aik baar tou roothoon Mein, Ussi ki tarha
Aur Meri tarha sey " Woh " Mujh ko manaaney Aey

Hur lafz kitaabon mein Tera Aks liyey hai
Aik phool sa Chehra Mujhey parhney nahin deta

Merey Khuda, Mujhey itna tou Mo'tabar kar dey
Mein jiss ' Makaan ' mein rehta hoon, uss ko ' Ghar' kar dey

Shab-e-Wisaal mein roshan charaagh gul kar do
Khushi ki buzm mein kya kaam jalney waalon ka

Paas rehta hai......door rehta hai..
Koi Dil mein..... zaroor rehta hai

Poocha Kuch iss tarah sey, USS ne Mera Mezaaj
Kehna para ke, " Shukr hai, Parwardigaar ka "

Doobna hi tha jo Kashti ka Muqaddar, Ya Rub
Aankh ke saamney, Aey Kaash, Na Saahil hota

Ahsaas kaa andaaz badal jaata hai ,Warna
aanchal bhi ussi taar se banta hai, kafan bhi

Uss waqt Intezaar ka Aalum na poochiyay
Jab koi baar baar kahey," Aa raha hoon mein "

Badla wafa ka dein gey bari Saadgi se Hum
Tum "Hum " se rooth jaao gey aur Zindagi se Hum

Kaanton se mohabbat kartey hain , Kirdaar tu dekho phoolon ka
Zakhmon se kaleja phut jaaey par saath Nibhaana parta hai

Ulfat tou hai aakhir " Unn " ko bhi, Meri na sahi... Dusman ki sahi
Mujh sey na sahi, dusman sey sahi, "woh" bhi tou mohabbat kartey hain

Aankhein jhuki jhuki hai, tou Chehray pe Noor hai
Zaalim ki Saadgi mein bhi kitna Ghuroor hai

Nigaahein tou buhut milti hain aksar Husn waalon sey
Magar rona tou iss ka hai ke Dil sey Dil nahin milta

Seeney se merey Zeher utarney nahin detey
Zinda rahein woh loug jo marney nahin detey

Comments

Loading... Logging you in...
  • Logged in as
There are no comments posted yet. Be the first one!

Post a new comment

Comments by

Search The Web