Tujhe bhoolkar bhi na bhool payenge hum,
Bas yahi ek wada nibha payenge hum.
Mita denge khud ko bhi jahan se lekin,
Tera naam dil se na mita payenge hum..
Bagair jane pehchane ikrar na kijiye,
Muskura kar dil ko bekarar na kijiye,
Gulab bhi de jate hai zakhm gehra kabi kabi,
Har Gulab par yu aitbaar na kijiye.
Mehek dosti ki, kisi ishq se kam nahin hoti,
yeh duniyan ishq pe khatam nahin hoti,
agar saath ho zindagi mein sacche doston ka
toh yeh zindagi kisi jannat se kam nahin hoti!
najar se dur rehne wale ne mujhe shayad dil se bhi dur kar diya,
kabhi vada kiya tha hamne hasane ka,
aaj usi ki yado ne rone par majboor kar diya
Sham aate hi, aa jaye tumhara naam
Dhadkanein bhejne lagein, pyara paigam;
Kuchch ujala to kuchch andhera lage
Aaogi ki nahin, karoon intzar Dil tham.
Sham Natkhat hai, tumhari adaon ki tarah
Utar aati hai Din ke pahlu mein, Balaon ki tarah;
Bade khamoshi se, chchupa leti hai Din ko
Jaise chchupi mujhe, khushboo-e-fizaon ki tarah.
dil ke riste bhi ajeeb hote he
door rehkar bhi karib hote he
jo log apko roj milte he
wo log kitne khushnasib hote he
Lamhe judai ke bekarar karte hain,
Haalat meri mujhe laachar karte hain,
Aankhe meri pad lo kabhi,
Ham khud kaise kahe ki
hum aapse pyaar karte hain.
Zarurat hi nai alfaaz ki,
pyaar to cheez hai bas ehsaas ki,
paas hote to manzar hi kya hota,
dur se hi khabar hai hume aapki har saans ki…
Jab tanhai me aapki yaad aati hai,
Hontho pe ek hi fariyad aati hai…
Khuda aapko har khushi de,
Kyonki aaj bhi hamari har khushi aapke baad aati hai..
Abhi Waqt Nahi Hai Mere Paas Thoda Masroof Hoo Mai…
Milooga Ek Din Tujhse Kabhi Milne Ke Liye Bhee..
Ek Arse Se Jaag Raha Hoo Mai Zindagi See Kaali Raato Me..
So-Uga Ek Din Mai Apni Aankho Me Tere Sapne Liye Bhee..
Roothe Zamane Ko Manana Hai, Rote Dosto Ko Hasana Hai,
Bahut Kaam Hai Par……Jiyugaa Ek Din Mai Apne Liye Bhee..
Kaanch chubhe toh zakhm reh jaata hai,
Dil toote toh armaan rah jaata hai,
Laga to dete hai waqt marham is dil par,
Phir bhi umar bhar ek nishan reh jata hai……….
Yaad bankar humesha apke dil mein aate rahenge,
Yunhi vaqt bevaqt tadpate rahenge,
Dua karo ki umar choti ho humari,
Varna zindagi bhar apko aese hi satate rahenge..
bas apki deewaana kehlaana chahta hun mein
apke dil ki aarzoo ban jaana chahta hun mein
meri to raah bhi wahi hein…manzil bhi wahi
bas apki manzil ki dehleez ban jaana chahta hun mein
Teri judai bhi hamein pyar karti hai,
teri yaad bahot bekrar karti hai,
vo din jo tere sath guzare the,
talash unko nazar bar bar karti hai.
ek toh ehsaas teray na honay ka
uspar darr tujhe khonay ka
chun le tu koi sitamgar apna
mahsoos kar dard dil khonay ka
Kabhi-Kabhi aisa bhi hota hai,
Dosti ka asar zara der se hota hai.
Unhe lagta hai Hum kuch nahi Sochte unke bare me,
Par Har baat me Zikr unka hi hota hai……….
Ehsaas k andaz badal jate hain warna,
Aanchal bhi usee tar say banta hay kafan bhi.
Sirf es waste es boot say akeedat hay mujhay,
tarashay janey main bohat dard saha hay es nay.
Bazecha-e atfal hay dunya mere aagay,
Hota hay shabo roz tamasha mere aagay.
Es bar jo eendhan k leye kat k gira hay,
Chiryoo ko bara piyar tha es booe shajar say
Sukoot-e sham-e ghareeba main sun sako to suno,
K maqtaloo say abhi tak sadaeen aati hain,
Lahoo say jen ko munawar kare damaghe bashar,
Hawaaen esay charagho say khouf khati hain.
Ishq,,,, Mazil k rukh ka ghaza hay,
Akl,,,,, Rastay ko saaf karti hay,
Zindagi par jo log cha jain,
Mout un ka tawab karti hay.
Meri sari zindagi ko be-samar is ne kya
Umar meri thi magar us ko basar is ne kya
Sheher me wo motabir meri gawahi se hua
Phir mujhe is sheher me namotabir is ne kya
Meri wafayon ka agar sila hota
Phir na zindagi se hamay gila hota
Phir na kerte chaand ki justajoo hum
Agar woh shakhs hamay mila hota
Mila jo pehli mulaqaat me gulon ki tarah
Giya to phir nahi aaya gayee ruton ki tarah
Mujhay na torh hunarmand, butgari se bhi
Na tu taraash sakay ga mujhe buton ki tarah
Hum wahan bhi tujhay aankhon me liyai phirte hain
Phaink detay hain jahan ghum ko purana ker ke
ye to malum hai k tumhe paa na sakenge
tumhara naam duniya k saamne la na sakenge
jaldi aa jaao k waqt rukhsat ka hai
tumhe dekhe bina duniya se ja nahi sakenge
Tamana-e-ishq to hum bhi rakhte hai,
kisi ke dil me hum bhi dhadakte hai,
na jaane hume woh kab milengi,
jis ke liye hum roz tadapte hai.
Fareb tha hasi mein, aashiqui samaj baithe…
Maut ko hi hum, apni zindagi samaj baithe….
Waqt ka mazak tha ya badnasibi hamari…
Unki do baton ko, Hum Chahat samaj baithe…!!!
Yeh Unki Bhi Aankhon Ka Qusur Hai
Main Tanha Gunahgar To Nahi
Woh Is Tarah Se Mere Dil Main Shamil Hai
Jahan Bhi Jaoon Lagta Hai Unki Mahfil Hai
Ruthi hui aankhon mein intezar hota hai,
Na chahte hue bhi pyar hota hai,
Kyun dekhte hain hum wo sapne,
Jinke tutne par bhi unke sach hone ka intezar hota hai?
Behte ashqo ki jubaa nahi hoti,
lafzo me mohabbet bayaan nahi hoti,
pyaar karne wala koi mil jaaye tho kadar karna,
knyunki kismat har kisi par meharbaan nahi hoti
Unhone dekha aur aansu ghir pade,
bhari barsaat me jaise phul bhikar pade,
dukh vo nahi ki unhone hume alvida kaha,
dukh tho ye hai ki uske baad vo khud ro pade…
RETH PE NAAM KABHI LIKHTE NAHI
RETH PE LIKHE NAAM KABHI TIKTE NAHI
LOG KEHTE HAI KI HUM PATTHAR DIL HAI
LEKIN PATTHARON PE LIKHE NAAM KABHI MITTE NAHI
ZINDAGI KE ZEHER KO AMRUT BANAKAR PI GAYE HAI
SHUL ME BHI FUL JAISE MUSKURAKAR JI RAHE HAI
MAUT BHI UNHE KYA CHU SAKEGI
JO LAKHO DILO MEIN PYAR BANKAR JI RAHE HAI
KANTO KO CHUNA SIKHAYA NAHI JATA
PHULON KO KHILNA SIKHAYA NAHI JATA
KOI BAN JATA HAI KHUD HI APNA
KISIKO APNA BANAYA NAHI JATA.
TADAP KE DEKHO KISIKI CHAHAT MEIN
TO PATA CHALE KI PYAR KYA HOTA HAI
YUN HI MIL JAYE HAR KOI RAHO MEIN
TOH KAISE PATA CHALE KI INTEZAR KYA HOTA HAI
PYAR SE TAB TAK PYAR MAT KARO
JAB TAK PYAR TUMSE PYAR NA KARE
AGAR PYAR TUMSE PYAR KARE
TOH USE ITNA PYAR KARO KI
WOH KISI AUR SE PYAR NA KARE…..
Dur tak tanhai bhara safar hai,
koi sathi na koi humsafar hai,
chale jate hain dil ke sahare teh soch kar,
ki bas agle mod par khushiyon ka shehar hai.
Har Baar Unki Salamati Ki Dua Karenge,
Unki Aarzo Me Apni Hasti Fanaah Karenge,
Woh Chahe Daaman Bacha le Humse Lekin,
Hum Marte Dum Tak Unse Wafaa Karenge.
Barsaat ki har boond me samaye ho tum..
Mere dil me khaas jagah banaye ho tum..
Yun to humdard ki kami nahi..
Par na jane aaj bohot yaad aa rahe ho tum
Kar K Aankhe Nam,Kya Dikhana Chahti He Zindgi?
Dekar Itne Gum,Kya Sikhana Chahti He Zindgi?
Pehle Mila Kar Fir Taqdeer Me Likh Deti He Judaai,
Ye Dard-E-Dil Se Hume Kya Mitana Chahti He Zindgi??
Har Baar Unki Salamati Ki Dua Karenge,
Unki Aarzo Me Apni Hasti Fanaah Karenge,
Woh Chahe Daaman Bacha le Humse Lekin,
Hum Marte Dum Tak Unse Wafaa Karenge.
Na to yaado ko yaad rakhte hain…
Na hi sapno ko saath rakhte hain…
Hum to bus unko yaad rakhte hain..
Jo hame dil ke paas rakhte hai
Har mode par shuruwat ho sakti hai
kabhi bhi khin bhi baat ho sakti ha
mana ki bahot door ho aap
aankhe band karo to mulakat ho sakti hai.
Log milte hai bichhad jaate hai,
sirf dil ke taar chhed jaate hai,
yun tho lete hai hum hazaron naam,
par tum jaise log dil me utar jaate hai.