
izzat humhari neelam kar
pairon tale roundha gaya hai
katl karke kabr dil ki
humhare haathon dhafnaaya gaya hai
jeb mein paisa raha nahi hai
souda humara kiya gaya hai
pighle hain patthar mom ke
patthar ko aaj rulaya gaya hai
tuta hain dil kaanch ke tukdon mein
tukdon mein dil ko baanta gaya hai
baha ke dariya khoon ke aansoo
ilzaam humpar lagaya gaya hai
tadpoge tum zindagi mein aake
zindagi ko humhare tadpaya gaya hai
samajh sake na koi humko
zindagi ko aisa banaya gaya hai
kashmir ki kali nahi ho tum
toda gulab se kisne tumko
parda uthaya jab humne
to dardnaak chehra dikhaya gaya hai