Guftgu Ke Lamhon Mein
Dekh Hi Nahi Paate
Ham Tumhare Chehre Ko
Tum Hamari Aankhon Ko
Aaj Aisa Karte Hain
Chasm-o-lab Ko Padte Hain
Baat Chhod Dete Hain
Jaane Kya Lamha Hoga
Jab Ye Hath Hathon Se
Gar Kabhi Juda Hoga
Aaj Aisa Karte Hain
Zabt-e-Jaan Parakhte Hain
Hath Chhod Dete Hain
Kash Koi Samjhade
Log Kis Tarah Dil Ki
Manzilein Alag Kar Ke
Saath Chhod Dete Hain
Aaj Aisa Karte Hain
Bey-sabab Bikharte Hain
Zaat Tod Dete Hain